kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kuchh to batāo shā.ir-e-bedār kyā huā
kis kī talāsh hai tumheñ aur kaun kho gayā
āñkhoñ meñ raushnī bhī hai vīrāniyāñ bhī haiñ
ik chāñd saath saath hai ik chāñd gah gayā
tum ham-safar hue to huī zindagī aziiz
mujh meñ to zindagī kā koī hausla na thā
tum hī kaho ki ho bhī sakegā mirā ilaaj
aglī mohabbatoñ ke mire zaḳhm-āshnā
jhāñkā hai maiñ ne ḳhalvat-e-jāñ meñ nigār-e-jāñ
koī nahīñ hai koī nahīñ hai tire sivā
vo aur thā koī jise dekhā hai bazm meñ
gar mujh ko DhūñDnā hai mirī ḳhalvatoñ meñ aa
ai mere ḳhvāb aa mirī āñkhoñ ko rañg de
ai merī raushnī tū mujhe rāstā dikhā
ab aa bhī jā ki sub.h se pahle hī bujh na jā.ūñ
ai mere āftāb bahut tez hai havā
yā-rab atā ho zaḳhm koī sher-āfrīñ
ik umr ho ga.ī ki mirā dil nahīñ dukhā
vo daur aa gayā hai ki ab sāhibān-e-dard
jo ḳhvāb dekhte haiñ vahī ḳhvāb nā-rasā
dāman bane to rañg huā dastaras se duur
mauj-e-havā hue to hai ḳhushbū gurez-pā
likkheñ bhī kyā ki ab koī ahvāl-e-dil nahīñ
chīḳheñ bhī kyā ki ab koī suntā nahīñ sadā
āñkhoñ meñ kuchh nahīñ hai ba-juz ḳhāk-e-rahguzar
siine meñ kuchh nahīñ hai ba-juz nāla-o-navā
pahchān lo hameñ ki tumhārī sadā haiñ ham
sun lo ki phir na ā.eñge ham se ġhazal-sarā
kuchh to batao shair-e-bedar kya hua
kis ki talash hai tumhein aur kaun kho gaya
aankhon mein raushni bhi hai viraniyan bhi hain
ek chand sath sath hai ek chand gah gaya
tum ham-safar hue to hui zindagi aziz
mujh mein to zindagi ka koi hausla na tha
tum hi kaho ki ho bhi sakega mera ilaj
agli mohabbaton ke mere zaKHm-ashna
jhanka hai main ne KHalwat-e-jaan mein nigar-e-jaan
koi nahin hai koi nahin hai tere siwa
wo aur tha koi jise dekha hai bazm mein
gar mujh ko DhunDna hai meri KHalwaton mein aa
ai mere KHwab aa meri aankhon ko rang de
ai meri raushni tu mujhe rasta dikha
ab aa bhi ja ki subh se pahle hi bujh na jaun
ai mere aaftab bahut tez hai hawa
ya-rab ata ho zaKHm koi sher-afrin
ek umr ho gai ki mera dil nahin dukha
wo daur aa gaya hai ki ab sahiban-e-dard
jo KHwab dekhte hain wahi KHwab na-rasa
daman bane to rang hua dastaras se dur
mauj-e-hawa hue to hai KHushbu gurez-pa
likkhen bhi kya ki ab koi ahwal-e-dil nahin
chiKHen bhi kya ki ab koi sunta nahin sada
aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz KHak-e-rahguzar
sine mein kuchh nahin hai ba-juz nala-o-nawa
pahchan lo hamein ki tumhaari sada hain hum
sun lo ki phir na aaenge hum se ghazal-sara
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.