kuchh to chehre pe KHun rahne de
kuchh to chehre pe ḳhuun rahne de
thoḌā dil meñ sukūn rahne de
kaun sā sau baras jiyūñgā maiñ
mujh pe us kā junūn rahne de
sā.ebāñ chhīn le magar ai dost
merī ḳhātir sutūn rahne de
maiñ to jāhil huuñ mujh ko matlab kyā
zikr-e-ilm-o-funūn rahne de
saḳht dushvār hai jiye jaanā
zindagī pur-sukūn rahne de
garm rakhtā hai sard mausam meñ
lams ko misl-e-ūn rahne de
maiñ farishta nahīñ huuñ 'rāmiz' huuñ
mujh ko ḳhvār-o-zabūn rahne de
kuchh to chehre pe KHun rahne de
thoDa dil mein sukun rahne de
kaun sa sau baras jiyunga main
mujh pe us ka junun rahne de
saeban chhin le magar ai dost
meri KHatir sutun rahne de
main to jahil hun mujh ko matlab kya
zikr-e-ilm-o-funun rahne de
saKHt dushwar hai jiye jaana
zindagi pur-sukun rahne de
garm rakhta hai sard mausam mein
lams ko misl-e-un rahne de
main farishta nahin hun 'ramiz' hun
mujh ko KHwar-o-zabun rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.