kuchh to ehsas-e-ziyan tha pahle
kuchh to ehsās-e-ziyāñ thā pahle
dil kā ye haal kahāñ thā pahle
ab to jhoñke se laraz uThtā huuñ
nashsha-e-ḳhvāb-e-girāñ thā pahle
ab to manzil bhī hai ḳhud garm-e-safar
har qadam sañg-e-nishāñ thā pahle
safar-e-shauq ke farsañg na pūchh
vaqt be-qaid makāñ thā pahle
ye alag baat ki ġham raas hai ab
us meñ andesha-e-jāñ thā pahle
yuuñ na ghabrā.e hue phirte the
dil ajab kunj-e-amāñ thā pahle
ab bhī tū paas nahīñ hai lekin
is qadar duur kahāñ thā pahle
Dere Daale haiñ bagūloñ ne jahāñ
us taraf chashma ravāñ thā pahle
ab vo dariyā na vo bastī na vo log
kyā ḳhabar kaun kahāñ thā pahle
har ḳharāba ye sadā detā hai
maiñ bhī ābād makāñ thā pahle
uḌ ga.e shāḳh se ye kah ke tuyūr
sarv ik shoḳh javāñ thā pahle
kyā se kyā ho ga.ī duniyā pyāre
tū vahīñ par hai jahāñ thā pahle
ham ne ābād kiyā mulk-e-suḳhan
kaisā sunsān samāñ thā pahle
ham ne baḳhshī hai ḳhamoshī ko zabāñ
dard majbūr-e-fuġhāñ thā pahle
ham ne ījād kiyā tesha-e-ashk
sho.ala patthar meñ nihāñ thā pahle
ham ne raushan kiyā māmūra-e-ġham
varna har samt dhuāñ thā pahle
ham ne mahfūz kiyā husn-e-bahār
itr-e-gul sarf-e-ḳhizāñ thā pahle
ġham ne phir dil ko jagāyā 'nāsir'
ḳhāna-barbād kahāñ thā pahle
kuchh to ehsas-e-ziyan tha pahle
dil ka ye haal kahan tha pahle
ab to jhonke se laraz uThta hun
nashsha-e-KHwab-e-giran tha pahle
ab to manzil bhi hai KHud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishan tha pahle
safar-e-shauq ke farsang na puchh
waqt be-qaid makan tha pahle
ye alag baat ki gham ras hai ab
us mein andesha-e-jaan tha pahle
yun na ghabrae hue phirte the
dil ajab kunj-e-aman tha pahle
ab bhi tu pas nahin hai lekin
is qadar dur kahan tha pahle
Dere Dale hain bagulon ne jahan
us taraf chashma rawan tha pahle
ab wo dariya na wo basti na wo log
kya KHabar kaun kahan tha pahle
har KHaraba ye sada deta hai
main bhi aabaad makan tha pahle
uD gae shaKH se ye kah ke tuyur
sarw ek shoKH jawan tha pahle
kya se kya ho gai duniya pyare
tu wahin par hai jahan tha pahle
hum ne aabaad kiya mulk-e-suKHan
kaisa sunsan saman tha pahle
hum ne baKHshi hai KHamoshi ko zaban
dard majbur-e-fughan tha pahle
hum ne ijad kiya tesha-e-ashk
shoala patthar mein nihan tha pahle
hum ne raushan kiya mamura-e-gham
warna har samt dhuan tha pahle
hum ne mahfuz kiya husn-e-bahaar
itr-e-gul sarf-e-KHizan tha pahle
gham ne phir dil ko jagaya 'nasir'
KHana-barbaad kahan tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.