kuchh to main bhi Dara Dara sa tha
kuchh to maiñ bhī Darā Darā sā thā
aur kuchh rāstā nayā sā thā
jhuuT aur sach ke darmiyāñ thā jo
aaj vo pul bhī TūTtā sā thā
jis se saare charāġh jalte the
vo charāġh aaj kuchh bujhā sā thā
raas aa.e na us ke rasm-o-rivāj
shahr ham se ḳhafā ḳhafā sā thā
but samajhte the jis ko saare log
vo mire vāste ḳhudā sā thā
kuchh to main bhi Dara Dara sa tha
aur kuchh rasta naya sa tha
jhuT aur sach ke darmiyan tha jo
aaj wo pul bhi TuTta sa tha
jis se sare charagh jalte the
wo charagh aaj kuchh bujha sa tha
ras aae na us ke rasm-o-riwaj
shahr hum se KHafa KHafa sa tha
but samajhte the jis ko sare log
wo mere waste KHuda sa tha
- Book : Soch Samajh (Pg. 37)
- Author : Salman Akhtar
- Publication : Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.