kuchh to rangini-e-afkar khule
kuchh to rangīni-e-afkār khule
'saif' chal matla-e-anvār khule
barg-e-gul jaise havā ke ruḳh par
kis latāfat se lab-e-yār khule
tū zarā band-e-qabā khol to de
jauhar-e-nāfa-e-tātār khule
dekh ai kūcha-e-jānāñ kī havā
dil ke darvāze ka.ī baar khule
zaḳhm-e-dil ham ne chhupā.e varna
terī āñkhoñ ne kiye vaar khule
vaah kyā Dhañg haiñ sayyādoñ ke
log phirte haiñ giraftār khule
kyā isī tarah guzar jā.egī
kuchh to un par bhī dil-e-zār khule
hasrat-e-dīd pas-e-marg na pūchh
rah ga.e dīda-e-bedār khule
lab-e-ḳhāmosh ko vā kar zālim
ye hai iqrār ki inkār khule
saaf baḳhshe ga.e vo hashr ke din
jo nazar aa.e gunahgār khule
ka.abe jā kar bhī hameñ kashf huā
but-kade meñ bhī kuchh asrār khule
ham bhī qismat kā likhā dekheñge
'saif' chal nāma-e-dildār khule
kuchh to rangini-e-afkar khule
'saif' chal matla-e-anwar khule
barg-e-gul jaise hawa ke ruKH par
kis latafat se lab-e-yar khule
tu zara band-e-qaba khol to de
jauhar-e-nafa-e-tatar khule
dekh ai kucha-e-jaanan ki hawa
dil ke darwaze kai bar khule
zaKHm-e-dil hum ne chhupae warna
teri aankhon ne kiye war khule
wah kya Dhang hain sayyaadon ke
log phirte hain giraftar khule
kya isi tarah guzar jaegi
kuchh to un par bhi dil-e-zar khule
hasrat-e-did pas-e-marg na puchh
rah gae dida-e-bedar khule
lab-e-KHamosh ko wa kar zalim
ye hai iqrar ki inkar khule
saf baKHshe gae wo hashr ke din
jo nazar aae gunahgar khule
kabe ja kar bhi hamein kashf hua
but-kade mein bhi kuchh asrar khule
hum bhi qismat ka likha dekhenge
'saif' chal nama-e-dildar khule
- Book : Kaf-e-gulfarosh (Pg. 25)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.