kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the
kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the
Gulam jilani Asghar
MORE BYGulam jilani Asghar
kuchh tumhārī anjuman meñ aise dīvāne bhī the
jo ba-kār-e-ḳhvesh dīvāne bhī farzāne bhī the
yuuñ to har sūrat pe thā begānagī kā shā.iba
un meñ kuchh aise bhī the jo jāne-pahchāne bhī the
sab ba-taufīq-e-muravvat dostī karte rahe
log kyā karte ki ḳhud un ke sanam-ḳhāne bhī the
tū ne apnī āgahī ke zarf se jāñchā mujhe
āgahī nā-āgahī ke aur paimāne bhī the
dil ke jaane kā ba-har-sūrat bahut sadma huā
us se vābasta ka.ī logoñ ke afsāne bhī the
kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the
jo ba-kar-e-KHwesh diwane bhi farzane bhi the
yun to har surat pe tha beganagi ka shaiba
un mein kuchh aise bhi the jo jaane-pahchane bhi the
sab ba-taufiq-e-murawwat dosti karte rahe
log kya karte ki KHud un ke sanam-KHane bhi the
tu ne apni aagahi ke zarf se jaancha mujhe
aagahi na-agahi ke aur paimane bhi the
dil ke jaane ka ba-har-surat bahut sadma hua
us se wabasta kai logon ke afsane bhi the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.