kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
kuchh usūloñ kā nasha thā kuchh muqaddas ḳhvāb the
har zamāne meñ shahādat ke yahī asbāb the
koh se nīche utar kar kankarī chunte haiñ ab
ishq meñ jo aabjū the jang meñ sailāb the
sāz-o-sāmāñ the zafar ke par vo shab meñ luT ga.e
ḳhāk-o-ḳhūñ ke darmiyāñ kuchh ḳhvāb kuchh kam-ḳhvāb the
kyā dam-e-ruḳhsat nazar aate ḳhutūt-e-dilbarī
naqsh the us chāñd ke lekin ba-shakl-e-āb the
maiñ adū kī justujū meñ thā ki ik patthar lagā
muḌ ke dekhā to sināñ taane hue ahbāb the
the bahut nāyāb vo nūr-e-qalam zor-e-bayāñ
sho.ala uTThā jab junūñ kā phir vahī nāyāb the
kyā 'firāq'-o-'faiz' se lenā thā mujh ko ai 'na.īm'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh na.e ādāb the
kuchh usulon ka nasha tha kuchh muqaddas KHwab the
har zamane mein shahadat ke yahi asbab the
koh se niche utar kar kankari chunte hain ab
ishq mein jo aabju the jang mein sailab the
saz-o-saman the zafar ke par wo shab mein luT gae
KHak-o-KHun ke darmiyan kuchh KHwab kuchh kam-KHwab the
kya dam-e-ruKHsat nazar aate KHutut-e-dilbari
naqsh the us chand ke lekin ba-shakl-e-ab the
main adu ki justuju mein tha ki ek patthar laga
muD ke dekha to sinan tane hue ahbab the
the bahut nayab wo nur-e-qalam zor-e-bayan
shoala uTTha jab junun ka phir wahi nayab the
kya 'firaq'-o-'faiz' se lena tha mujh ko ai 'naim'
mere aage fikr-o-fan ke kuchh nae aadab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.