kuchh yahan be-talab nahin milta
kuchh yahāñ be-talab nahīñ miltā
mujh ko vo kyā ajab nahīñ miltā
kuchh chhalaktā hai kuchh bikhartā hai
sab mile to bhī sab nahīñ miltā
haif ab ishq kī dukānoñ par
nāla-e-nīm-shab nahīñ miltā
kab huī shahr-e-dil kī rakhvālī
ek ghar be-naqab nahīñ miltā
dil se ḳhālī hue haiñ jab se paaoñ
DhūñDne se bhī rab nahīñ miltā
qahr ye hai ki ab hasīnoñ meñ
pahle jaisā ġhazab nahīñ miltā
ham nahīñ mānte koī honā
jab tak us kā sabab nahīñ miltā
muddatoñ chūmtī haiñ bas āñkheñ
ek dam lab se lab nahīñ miltā
us ko itnā sañbhāl kar rakkhā
ki mujhe ḳhud bhī ab nahīñ miltā
bahr-e-lazzat hai us kā gum karnā
DhūñDtā huuñ vo jab nahīñ miltā
ab kahāñ paa.eñ nāqa-o-lailā
badduoñ kā arab nahīñ miltā
ahd-o-ehsās kī fasīl hai biich
miir sāhab kā Dhab nahīñ maltā
kuchh yahan be-talab nahin milta
mujh ko wo kya ajab nahin milta
kuchh chhalakta hai kuchh bikharta hai
sab mile to bhi sab nahin milta
haif ab ishq ki dukanon par
nala-e-nim-shab nahin milta
kab hui shahr-e-dil ki rakhwali
ek ghar be-naqab nahin milta
dil se KHali hue hain jab se paon
DhunDne se bhi rab nahin milta
qahr ye hai ki ab hasinon mein
pahle jaisa ghazab nahin milta
hum nahin mante koi hona
jab tak us ka sabab nahin milta
muddaton chumti hain bas aankhen
ek dam lab se lab nahin milta
us ko itna sanbhaal kar rakkha
ki mujhe KHud bhi ab nahin milta
bahr-e-lazzat hai us ka gum karna
DhunDta hun wo jab nahin milta
ab kahan paen naqa-o-laila
badduon ka arab nahin milta
ahd-o-ehsas ki fasil hai bich
mir sahab ka Dhab nahin malta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.