kuchh zard zard patte nishan jo KHizan ke hain
kuchh zard zard patte nishāñ jo ḳhizāñ ke haiñ
nairañg-e-dil-fareb ye sab āsmāñ ke haiñ
ik aag sī lagī hai zamāne meñ har taraf
kyā jaane zamzame ye kis ātish-zabāñ ke haiñ
ham dil-jaloñ ko huzn-o-alam se hai soz-o-sāz
andāz zamzamoñ meñ bhī āh-o-fuġhāñ ke haiñ
ye bhī to haiñ ḳharāb usī chashm-e-mast ke
parhez-gār hazrat-e-vā.is kahāñ ke haiñ
uTh uTh ke baiTh jaatā hai bāñg-e-jaras pe dil
dekh ai falak ye hausle is nā-tavāñ ke haiñ
guzre hue zamāne kī ab yaad kyā zarūr
charche qafas-nasīboñ meñ kyuuñ āshiyāñ ke haiñ
kuchh zard zard patte nishan jo KHizan ke hain
nairang-e-dil-fareb ye sab aasman ke hain
ek aag si lagi hai zamane mein har taraf
kya jaane zamzame ye kis aatish-zaban ke hain
hum dil-jalon ko huzn-o-alam se hai soz-o-saz
andaz zamzamon mein bhi aah-o-fughan ke hain
ye bhi to hain KHarab usi chashm-e-mast ke
parhez-gar hazrat-e-wais kahan ke hain
uTh uTh ke baiTh jata hai bang-e-jaras pe dil
dekh ai falak ye hausle is na-tawan ke hain
guzre hue zamane ki ab yaad kya zarur
charche qafas-nasibon mein kyun aashiyan ke hain
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 146)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.