kuchh zarurat se kam kiya gaya hai
kuchh zarūrat se kam kiyā gayā hai
tere jaane kā ġham kiyā gayā hai
tā-qayāmat hare bhare raheñge
in daraḳhtoñ pe dam kiyā gayā hai
is liye raushnī meñ ThanDak hai
kuchh charāġhoñ ko nam kiyā gayā hai
kyā ye kam hai ki āḳhirī bosa
us jabīñ par raqam kiyā gayā hai
pāniyoñ ko bhī ḳhvāb aane lage
ashk dariyā meñ zam kiyā gayā hai
un kī āñkhoñ kā tazkira kar ke
merī āñkhoñ ko nam kiyā gayā hai
dhuul meñ aT ga.e haiñ saare ġhazāl
itnī shiddat se ram kiyā gayā hai
kuchh zarurat se kam kiya gaya hai
tere jaane ka gham kiya gaya hai
ta-qayamat hare bhare rahenge
in daraKHton pe dam kiya gaya hai
is liye raushni mein ThanDak hai
kuchh charaghon ko nam kiya gaya hai
kya ye kam hai ki aaKHiri bosa
us jabin par raqam kiya gaya hai
paniyon ko bhi KHwab aane lage
ashk dariya mein zam kiya gaya hai
un ki aankhon ka tazkira kar ke
meri aankhon ko nam kiya gaya hai
dhul mein aT gae hain sare ghazal
itni shiddat se ram kiya gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.