kuchh ziyāda vabāl kar Daalā
phir ḳhudā ne zavāl kar Daalā
apnā ilzām mere sar Daalā
yaar tum ne kamāl kar Daalā
ek taaza gulāb chehre ko
ek purānī misāl kar Daalā
merā kaasa chaTak gayā shāyad
us ne hiirā nikāl kar Daalā
din guzāra idhar udhar tanhā
raat aa.ī malāl kar Daalā
phir terī yaad aa ga.ī 'nāsir'
dekh āñkho ko laal kar Daalā
kuchh ziyaada wabaal kar Dala
phir KHuda ne zawal kar Dala
apna ilzam mere sar Dala
yar tum ne kamal kar Dala
ek taza gulab chehre ko
ek purani misal kar Dala
mera kasa chaTak gaya shayad
us ne hira nikal kar Dala
din guzara idhar udhar tanha
raat aai malal kar Dala
phir teri yaad aa gai 'nasir'
dekh aankho ko lal kar Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.