kudurat se ghubar-aluda aaina nahin rahta
kudūrat se ġhubār-ālūda ā.īna nahīñ rahtā
mire chehre pe koī dūsrā chehra nahīñ rahtā
ġhamoñ kī dhuup se chehre vahāñ murjhā.e rahte haiñ
tirī zulf-e-mo.ambar kā jahāñ saaya nahīñ rahtā
koī manzar bhī ho afsurda afsurda sā lagtā hai
tasavvur meñ kisī kā jab ruḳh-e-zebā nahīñ rahtā
dar-o-dīvār se ye kaisī vīrānī Tapaktī hai
tirī bastī meñ dīvāne kā ab charchā nahīñ rahtā
halāk-e-kārobār-e-ġham bhī rah kar ai 'nazar' ḳhush huuñ
laboñ par gardish-e-taqdīr kā shikva nahīñ rahtā
kudurat se ghubar-aluda aaina nahin rahta
mere chehre pe koi dusra chehra nahin rahta
ghamon ki dhup se chehre wahan murjhae rahte hain
teri zulf-e-moambar ka jahan saya nahin rahta
koi manzar bhi ho afsurda afsurda sa lagta hai
tasawwur mein kisi ka jab ruKH-e-zeba nahin rahta
dar-o-diwar se ye kaisi virani Tapakti hai
teri basti mein diwane ka ab charcha nahin rahta
halak-e-karobar-e-gham bhi rah kar ai 'nazar' KHush hun
labon par gardish-e-taqdir ka shikwa nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.