kufr-e-ishq aaya badal mujh momin-e-din-dar tak
kufr-e-ishq aaya badal mujh momin-e-din-dar tak
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
kufr-e-ishq aayā badal mujh momin-e-dīñ-dār tak
naubat-e-bā-sandal-o-qashqa hai bal zunnār tak
ashT kā ashlok ik rāhib ne but-ḳhāne ke biich
mujh ko batlāyā ki bhūlā ġhair zikr-azkār tak
sho.abada duniyā kā kam fursat bahut hai juuñ hubāb
zindagī hai tā-zamāna va.ada-e-iqrār tak
kaam hai matlab se chāhe kufr hove yā ki diiñ
jā pahuñchtā hai kisī sūrat se apne yaar tak
'āfrīdī' chhoḌ mat hargiz dar-e-pīr-e-muġhāñ
haath aave duḳhtar-e-raz sāġhar-e-sarshār tak
kufr-e-ishq aaya badal mujh momin-e-din-dar tak
naubat-e-ba-sandal-o-qashqa hai bal zunnar tak
ashT ka ashlok ek rahib ne but-KHane ke bich
mujh ko batlaya ki bhula ghair zikr-azkar tak
shoabada duniya ka kam fursat bahut hai jun hubab
zindagi hai ta-zamana wada-e-iqrar tak
kaam hai matlab se chahe kufr howe ya ki din
ja pahunchta hai kisi surat se apne yar tak
'afridi' chhoD mat hargiz dar-e-pir-e-mughan
hath aawe duKHtar-e-raz saghar-e-sarshaar tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.