kul samaat dukhi sada ko dun
kul samā.at dukhī sadā ko duuñ
jism dhartī ko jaañ havā ko duuñ
apnī saarī matā.a-e-aql-o-ḳhirad
rūThne kī tirī adā ko duuñ
kul anāsir alag-alag kar ke
kuchh tujhe aur kuchh ḳhudā ko duuñ
ik dhanak hai mirī nigāhoñ meñ
terī zulfoñ ko yā ghaTā ko duuñ
dekhūñ kitnā lahū Tapaktā hai
ab ke ḳhanjar kaf-e-vafā ko duuñ
kul samaat dukhi sada ko dun
jism dharti ko jaan hawa ko dun
apni sari mataa-e-aql-o-KHirad
ruThne ki teri ada ko dun
kul anasir alag-alag kar ke
kuchh tujhe aur kuchh KHuda ko dun
ek dhanak hai meri nigahon mein
teri zulfon ko ya ghaTa ko dun
dekhun kitna lahu Tapakta hai
ab ke KHanjar kaf-e-wafa ko dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.