kun ke kahne mein jo hua so hua
kun ke kahne meñ jo huā so huā
raañD ronā na ro huā so huā
jo azal meñ qalam chalī so chalī
bad huā yā niko huā so huā
rañj o rāhat meñ iḳhtiyār nahīñ
raazī ho yā na ho huā so huā
yuuñ na ho yuuñ ho yuuñ huā so kyuuñ
kyā hai ye guftugū huā so huā
shikva qismat kā shikva-e-haq hai
bak na ḳhāmosh ho huā so huā
haath aatā nahīñ baġhair nasīb
paañv phailā ke so huā so huā
jo muqaddar thā ho chukā 'hātim'
fikr meñ dam na kho huā so huā
kun ke kahne mein jo hua so hua
ranD rona na ro hua so hua
jo azal mein qalam chali so chali
bad hua ya niko hua so hua
ranj o rahat mein iKHtiyar nahin
raazi ho ya na ho hua so hua
yun na ho yun ho yun hua so kyun
kya hai ye guftugu hua so hua
shikwa qismat ka shikwa-e-haq hai
bak na KHamosh ho hua so hua
hath aata nahin baghair nasib
panw phaila ke so hua so hua
jo muqaddar tha ho chuka 'hatim'
fikr mein dam na kho hua so hua
- Book : Diwan Zadah (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.