kunj-e-ghazal na qais ka virana chahiye
kunj-e-ġhazal na qais kā vīrāna chāhiye
jo ġham mujhe hai us ko azā-ḳhāna chāhiye
hai jis kā intizār palak se falak talak
ab aanā chāhiye use aa jaanā chāhiye
yā-rab mire libās se hargiz gumāñ na ho
lekin mujhe mizāj-e-faqīrāna chāhiye
miltī nahīñ hai naav to darvesh kī tarah
ḳhud meñ utar ke paar utar jaanā chāhiye
ai dost! mujh se ishq kī yaksāniyat na pūchh
tū bhī kabhī kabhī mujhe begāna chāhiye
kunj-e-ghazal na qais ka virana chahiye
jo gham mujhe hai us ko aza-KHana chahiye
hai jis ka intizar palak se falak talak
ab aana chahiye use aa jaana chahiye
ya-rab mere libas se hargiz guman na ho
lekin mujhe mizaj-e-faqirana chahiye
milti nahin hai naw to darwesh ki tarah
KHud mein utar ke par utar jaana chahiye
ai dost! mujh se ishq ki yaksaniyat na puchh
tu bhi kabhi kabhi mujhe begana chahiye
- Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 707)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.