kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyan tak lae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyāñ tak laa.e
kaun lā saktā hai ham dil ko jahāñ tak laa.e
ek hangāma bapā hai pas-e-dīvār-e-badan
hai kise tāb-e-suḳhan kaun zabāñ tak laa.e
Thiik hai chashm-e-taġhāful ye tirī den sahī
taab zaḳhmoñ kī magar koī kahāñ tak laa.e
aañkh vīrāñ thī kisī dasht-e-tapāñ kī sūrat
ham ise silsila-e-āb-e-ravāñ tak laa.e
chal nikaltī hai to phir lab pe bhī aa jaatī hai
laane vaale kī ye marzī hai jahāñ tak laa.e
'ain-mumkin hai Thahar jaa.e sazā-vār-e-karam
ham yahī soch ke dil kū-e-butāñ tak laa.e
tujh ko jo chāhiye be-ḳhauf-o-ḳhatar letā jā
kaun kāfir hai ki jo dil meñ gumāñ tak laa.e
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyan tak lae
kaun la sakta hai hum dil ko jahan tak lae
ek hangama bapa hai pas-e-diwar-e-badan
hai kise tab-e-suKHan kaun zaban tak lae
Thik hai chashm-e-taghaful ye teri den sahi
tab zaKHmon ki magar koi kahan tak lae
aankh viran thi kisi dasht-e-tapan ki surat
hum ise silsila-e-ab-e-rawan tak lae
chal nikalti hai to phir lab pe bhi aa jati hai
lane wale ki ye marzi hai jahan tak lae
'ain-mumkin hai Thahar jae saza-war-e-karam
hum yahi soch ke dil ku-e-butan tak lae
tujh ko jo chahiye be-KHauf-o-KHatar leta ja
kaun kafir hai ki jo dil mein guman tak lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.