kushta-e-naz-e-dil-ruba hain hum
kushta-e-nāz-e-dil-rubā haiñ ham
zaḳhmī-e-ḳhanjar-e-adā haiñ ham
kyā kaheñ tum se ham ki kyā haiñ ham
maz.har-e-nūr-e-kibriyā haiñ ham
aap par jab se mubtalā haiñ ham
ḳhvesh-o-begāne se judā haiñ ham
aap haiñ apne husn par shaidā
aap apne hī par fidā haiñ ham
donoñ aalam se kuchh nahīñ matlab
kūcha-e-yār ke gadā haiñ ham
go ba-zāhir haiñ sūrat-e-ādam
fil-haqīqat ḳhudā-numā haiñ ham
bas 'qamar' itnā iftiḳhār hameñ
yaar ke naqsh-e-kafsh-e-pā haiñ ham
kushta-e-naz-e-dil-ruba hain hum
zaKHmi-e-KHanjar-e-ada hain hum
kya kahen tum se hum ki kya hain hum
mazhar-e-nur-e-kibriya hain hum
aap par jab se mubtala hain hum
KHwesh-o-begane se juda hain hum
aap hain apne husn par shaida
aap apne hi par fida hain hum
donon aalam se kuchh nahin matlab
kucha-e-yar ke gada hain hum
go ba-zahir hain surat-e-adam
fil-haqiqat KHuda-numa hain hum
bas 'qamar' itna iftiKHar hamein
yar ke naqsh-e-kafsh-e-pa hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.