ku-ba-ku ishq mein aawara-o-ruswa hun main
kū-ba-kū ishq meñ āvāra-o-rusvā huuñ maiñ
ab mirā haal to ye hai ki tamāshā huuñ maiñ
ruḳhsat ai pās-e-adab al-madad ai jur.at-e-ishq
aaj āmāda-e-iz.hār-e-tamannā huuñ maiñ
koī mahfil koī aalam ho jahāñ aap nahīñ
mujh ko mahsūs ye hotā hai ki tanhā huuñ maiñ
tum ko ehsās nahīñ ik mirī ġham-ḳhvārī kā
mujh ko dekho ki sharīk-e-ġham-e-duniyā huuñ maiñ
naġhma-e-shauq jo sunñā ho to mizrāb uThā
chheḌ kar dekh ki ik sāz-e-tamannā huuñ maiñ
ek ujḌe hue ghar kā sā diyā huuñ ya.anī
jab kabhī koī jalātā hai to jaltā huuñ maiñ
ku-ba-ku ishq mein aawara-o-ruswa hun main
ab mera haal to ye hai ki tamasha hun main
ruKHsat ai pas-e-adab al-madad ai jurat-e-ishq
aaj aamada-e-izhaar-e-tamanna hun main
koi mahfil koi aalam ho jahan aap nahin
mujh ko mahsus ye hota hai ki tanha hun main
tum ko ehsas nahin ek meri gham-KHwari ka
mujh ko dekho ki sharik-e-gham-e-duniya hun main
naghma-e-shauq jo sunna ho to mizrab uTha
chheD kar dekh ki ek saz-e-tamanna hun main
ek ujDe hue ghar ka sa diya hun yani
jab kabhi koi jalata hai to jalta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.