ku-ba-ku kab se hai ek sarsar-e-gham aawara
kū-ba-kū kab se hai ik sarsar-e-ġham āvāra
ab kidhar jaa.eñ tire shahr meñ ham āvāra
kyā faqīhān-e-haram ko ye ḳhabar hai yaaro
ham ko rakhte haiñ ġhazālān-e-haram āvāra
surḳh-rū 'ahd-e-vafā se na huā ho farhād
bū-e-ḳhūñ hai jo sar-e-ḳhalvat-e-jam āvāra
ham chale aa.e to but-ḳhāne pe kyā kyā guzrī
barhaman sar-ba-garebāñ hai sanam āvāra
sar-nigūñ haiñ mire fitrāk-e-ġhazal meñ vo ġhazāl
jin ko rakhtī thī kabhī lazzat-e-ram āvāra
surḳhī-e-ḳhār-e-muġhīlāñ kabhī aisī to na thī
aaj guzre haiñ ye kis raah se ham āvāra
zulf-e-āvāra uḌā le ga.ī dil ko bhī 'salīm'
varna pahle vo javāñ-marg thā kam āvāra
ku-ba-ku kab se hai ek sarsar-e-gham aawara
ab kidhar jaen tere shahr mein hum aawara
kya faqihan-e-haram ko ye KHabar hai yaro
hum ko rakhte hain ghazalan-e-haram aawara
surKH-ru 'ahd-e-wafa se na hua ho farhad
bu-e-KHun hai jo sar-e-KHalwat-e-jam aawara
hum chale aae to but-KHane pe kya kya guzri
barhaman sar-ba-gareban hai sanam aawara
sar-nigun hain mere fitrak-e-ghazal mein wo ghazal
jin ko rakhti thi kabhi lazzat-e-ram aawara
surKHi-e-KHar-e-mughilan kabhi aisi to na thi
aaj guzre hain ye kis rah se hum aawara
zulf-e-awara uDa le gai dil ko bhi 'salim'
warna pahle wo jawan-marg tha kam aawara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.