kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par
kuuza jaise ki chhalak jaa.e hai bhar jaane par
koī aañsū hī bahā de mire mar jaane par
kaam aaya nahīñ merā tah-e-dariyā honā
pichhle sāhil se bhī nākām ubhar jaane par
hai ḳhabar jhūTī magar phir bhī ḳhabar bhejī jaa.e
kyā ḳhabar koī yaqīñ kar le ḳhabar jaane par
koh-e-dil koī bhī lamha kabhī ḳhālī na rahā
ek vīrānī rahī ġham ke utar jaane par
bujh gayā vaqt se pahle jo diyā vo maiñ huuñ
ḳhush nahīñ hotī havā mere Thahar jaane par
toḌ kar mujh ko kisī dil ko sukūñ aatā hai
aur simTegā koī ḳhaak bikhar jaane par
yā to yuuñ ho ke kabhī vaqt pe kaam aa jaa.e
kaam 'amrit' kā nahīñ dard guzar jaane par
kuza jaise ki chhalak jae hai bhar jaane par
koi aansu hi baha de mere mar jaane par
kaam aaya nahin mera tah-e-dariya hona
pichhle sahil se bhi nakaam ubhar jaane par
hai KHabar jhuTi magar phir bhi KHabar bheji jae
kya KHabar koi yaqin kar le KHabar jaane par
koh-e-dil koi bhi lamha kabhi KHali na raha
ek virani rahi gham ke utar jaane par
bujh gaya waqt se pahle jo diya wo main hun
KHush nahin hoti hawa mere Thahar jaane par
toD kar mujh ko kisi dil ko sukun aata hai
aur simTega koi KHak bikhar jaane par
ya to yun ho ke kabhi waqt pe kaam aa jae
kaam 'amrit' ka nahin dard guzar jaane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.