kya aabru rahe jo gham-e-dil ka dar khule
kyā aabrū rahe jo ġham-e-dil kā dar khule
kyoñ rū-barū jahāñ ke mirī chashm-e-tar khule
nargis se bostāñ meñ ishāre huā kiye
ahl-e-nazar ko dekh ke ahl-e-nazar khule
shor-o-shaġhaf ne dahr ke ḳhāmosh kar diyā
insāñ agar khule bhī to kis baat par khule
piine ko yuuñ to shaiḳh bhī tayyār haiñ magar
kahte haiñ shart ye hai girah se na zar khule
bazm-e-tarab meñ dekh lī raunaq majāz kī
pur ma.arifat se ho ab agar chashm-e-tar khule
kyā pattharoñ pe la.al-o-javāhar bikheriye
kyoñ sāmne sanam ke mirī chashm-e-tar khule
har aadmī ko 'soz' hai nān-o-namak se kaam
duniyā meñ ḳhaak jauhar-e-ahl-e-hunar khule
kya aabru rahe jo gham-e-dil ka dar khule
kyon ru-baru jahan ke meri chashm-e-tar khule
nargis se bostan mein ishaare hua kiye
ahl-e-nazar ko dekh ke ahl-e-nazar khule
shor-o-shaghaf ne dahr ke KHamosh kar diya
insan agar khule bhi to kis baat par khule
pine ko yun to shaiKH bhi tayyar hain magar
kahte hain shart ye hai girah se na zar khule
bazm-e-tarab mein dekh li raunaq majaz ki
pur marifat se ho ab agar chashm-e-tar khule
kya pattharon pe lal-o-jawahar bikheriye
kyon samne sanam ke meri chashm-e-tar khule
har aadmi ko 'soz' hai nan-o-namak se kaam
duniya mein KHak jauhar-e-ahl-e-hunar khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.