kya ada kya naz hai kya aan hai
kyā adā kyā naaz hai kyā aan hai
yaañ parī kā husn bhī hairān hai
huur bhī dekhe to ho jaave fidā
aaj is aalam kā vo insān hai
us ke rang-e-sabz kī hai chiiñ meñ dhuum
kyuuñ na ho āḳhir ko hindostān hai
jān-o-dil ham nazr ko laa.e haiñ aaj
lījiye ye dil hai aur ye jaan hai
dil bhī hai dil se tasadduq aap par
jaan bhī jī-jān se qurbān hai
dil kahāñ pahlū meñ jo ham deñ tumheñ
ye to ghar ik 'umr se vīrān hai
aql o hosh o sabr sab jaate rahe
haañ magar ik-adh muī sī jaan hai
vo bhī gar lenī hoñ to le jā.iye
ḳhair ye bhī aap kā ehsān hai
aan kar mil tū 'nazīr' apne se jaan
ab vo koī aan kā mehmān hai
kya ada kya naz hai kya aan hai
yan pari ka husn bhi hairan hai
hur bhi dekhe to ho jawe fida
aaj is aalam ka wo insan hai
us ke rang-e-sabz ki hai chin mein dhum
kyun na ho aaKHir ko hindostan hai
jaan-o-dil hum nazr ko lae hain aaj
lijiye ye dil hai aur ye jaan hai
dil bhi hai dil se tasadduq aap par
jaan bhi ji-jaan se qurban hai
dil kahan pahlu mein jo hum den tumhein
ye to ghar ek 'umr se viran hai
aql o hosh o sabr sab jate rahe
han magar ik-adh mui si jaan hai
wo bhi gar leni hon to le jaiye
KHair ye bhi aap ka ehsan hai
aan kar mil tu 'nazir' apne se jaan
ab wo koi aan ka mehman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.