kya ajab apni zindagani hai
kyā ajab apnī zindagānī hai
nā-mukammal sī ik kahānī hai
phuul khilne lage haiñ yādoñ ke
ab tabī.at meñ kuchh ravānī hai
ḳhuun Tapkā hai merī āñkhoñ se
ik masīhā kī mehrbānī hai
ḳhud ko kalma paḌhā liyā ham ne
phir bhī aadat vahī purānī hai
vo kitāboñ meñ rah gayā lekin
us kī zinda abhī kahānī hai
ek tū hī na thā mirā varna
saarī duniyā mirī dīvānī hai
zinda-jāved zaat hai us kī
aur jo kuchh bhī hai vo faanī hai
kya ajab apni zindagani hai
na-mukammal si ek kahani hai
phul khilne lage hain yaadon ke
ab tabiat mein kuchh rawani hai
KHun Tapka hai meri aankhon se
ek masiha ki mehrbani hai
KHud ko kalma paDha liya hum ne
phir bhi aadat wahi purani hai
wo kitabon mein rah gaya lekin
us ki zinda abhi kahani hai
ek tu hi na tha mera warna
sari duniya meri diwani hai
zinda-jawed zat hai us ki
aur jo kuchh bhi hai wo fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.