kya andhera hai kya ujala hai
kya andhera hai kya ujala hai
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
kyā añdherā hai kyā ujālā hai
ye nazariye kā bas havāla hai
rang bas ek hī hai duniyā meñ
'ishq ne husn par jo Daalā hai
roz sūraj sahar meñ ghar aa.e
shaam ko roz ghar-nikālā hai
haiñ dhanak meñ jo dikhte sātoñ rang
vo tabassum ne tere Daalā hai
kaun kholegā dil kā vo kamra
naam kā tere jis pe taalā hai
zindagī kī kitāb kā pannā
ek ujlā hai ek kaalā hai
'shams' kahtī hai jis ko ye duniyā
vo mire dil kā ek chhālā hai
kya andhera hai kya ujala hai
ye nazariye ka bas hawala hai
rang bas ek hi hai duniya mein
'ishq ne husn par jo Dala hai
roz suraj sahar mein ghar aae
sham ko roz ghar-nikala hai
hain dhanak mein jo dikhte saton rang
wo tabassum ne tere Dala hai
kaun kholega dil ka wo kamra
nam ka tere jis pe tala hai
zindagi ki kitab ka panna
ek ujla hai ek kala hai
'shams' kahti hai jis ko ye duniya
wo mere dil ka ek chhaala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.