kya aziyyat hai ki be-kar paDe hain ghar mein
kyā aziyyat hai ki be-kār paḌe haiñ ghar meñ
us pe tanhā.ī ke ambār paḌe haiñ ghar meñ
mere sarvat kī kitābeñ tirī yādoñ kī ghuTan
ḳhud-kushī ke ka.ī auzār paḌe haiñ ghar meñ
ik tirī yaad kā ronā ho to ro bhī luuñ maiñ
aur sau tarh ke āzār paḌe haiñ ghar meñ
kyoñ na hākim ko kaTe haath kā tohfa bhejūñ
ahd-e-kam-zarf hai fankār paḌe haiñ ghar meñ
kya aziyyat hai ki be-kar paDe hain ghar mein
us pe tanhai ke ambar paDe hain ghar mein
mere sarwat ki kitaben teri yaadon ki ghuTan
KHud-kushi ke kai auzar paDe hain ghar mein
ek teri yaad ka rona ho to ro bhi lun main
aur sau tarh ke aazar paDe hain ghar mein
kyon na hakim ko kaTe hath ka tohfa bhejun
ahd-e-kam-zarf hai fankar paDe hain ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.