kya baat hai ki baat hi dil ki ada na ho
kyā baat hai ki baat hī dil kī adā na ho
matlab kā mere jaise koī qāfiyā na ho
gul-dān meñ sajā ke haiñ ham log kitne ḳhush
vo shāḳh ek phuul bhī jis par nayā na ho
har lamha vaqt kā hai bas ik ġhuncha-e-baḳhīl
muTThī jo apnī band kabhī kholtā na ho
ab log apne aap ko pahchānte nahīñ
pesh-e-nigāh jaise koī ā.īnā na ho
vahshī havā kī ruuh thī dīvār-o-dar meñ raat
jañgal kī samt koī darīcha khulā na ho
kya baat hai ki baat hi dil ki ada na ho
matlab ka mere jaise koi qafiya na ho
gul-dan mein saja ke hain hum log kitne KHush
wo shaKH ek phul bhi jis par naya na ho
har lamha waqt ka hai bas ek ghuncha-e-baKHil
muTThi jo apni band kabhi kholta na ho
ab log apne aap ko pahchante nahin
pesh-e-nigah jaise koi aaina na ho
wahshi hawa ki ruh thi diwar-o-dar mein raat
jangal ki samt koi daricha khula na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.