kya badal doge tum ek nazar se
kyā badal doge tum ik nazar se
be-qarārī to hai umr bhar se
dosto shahr-e-jāñ jal rahā hai
ab kahāñ jāoge aur kidhar se
zaḳhm haiñ dil pe kyā kyā na dekho
phuul chun lo lab-e-naġhmagar se
jaag kar raat ham ne guzārī
pūchh lo kārvān-e-sahar se
zulmat-e-shab hai 'jāved' aur ham
chāñd nikle na jaane kidhar se
kya badal doge tum ek nazar se
be-qarari to hai umr bhar se
dosto shahr-e-jaan jal raha hai
ab kahan jaoge aur kidhar se
zaKHm hain dil pe kya kya na dekho
phul chun lo lab-e-naghmagar se
jag kar raat hum ne guzari
puchh lo karwan-e-sahar se
zulmat-e-shab hai 'jawed' aur hum
chand nikle na jaane kidhar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.