kya bataun kaisi thi dil ki kaifiyat meri
kyā batā.ūñ kaisī thī dil kī kaifiyat merī
us ne muskurā kar jab pūchhī zaujiyat merī
pūchhtā hai jab mujh se vo salāhiyat merī
kis qadar taḌaptī hai phir ye ahliyat merī
yuuñ mujhe basā.e ho dil meñ ek muddat se
kaash tum batā sakte sab ko shahriyat merī
duur tum se jaane kā ik ye fā.eda hogā
kuchh samajh to aa.egī tum ko ahmiyat merī
ye bhī ḳhush-nasībī hai jo ki likkhī jaatī hai
vārisoñ ke khāne meñ ab bhī valdiyat merī
ġhair kā hai tū lekin phir bhī mutma.in huuñ maiñ
kuchh hasīn lamhe haiñ kyūñki milkiyat merī
naam sab kā gintī huuñ dosto ke maiñ apne
jab bhī pūchh letā hai koī haisiyat merī
jaan is pe detī huuñ mulk hai ye merā bhī
phir bhī pūchhte ho tum mujh se qaumiyat merī
kya bataun kaisi thi dil ki kaifiyat meri
us ne muskura kar jab puchhi zaujiyat meri
puchhta hai jab mujh se wo salahiyat meri
kis qadar taDapti hai phir ye ahliyat meri
yun mujhe basae ho dil mein ek muddat se
kash tum bata sakte sab ko shahriyat meri
dur tum se jaane ka ek ye faeda hoga
kuchh samajh to aaegi tum ko ahmiyat meri
ye bhi KHush-nasibi hai jo ki likkhi jati hai
warison ke khane mein ab bhi waldiyat meri
ghair ka hai tu lekin phir bhi mutmain hun main
kuchh hasin lamhe hain kyunki milkiyat meri
nam sab ka ginti hun dosto ke main apne
jab bhi puchh leta hai koi haisiyat meri
jaan is pe deti hun mulk hai ye mera bhi
phir bhi puchhte ho tum mujh se qaumiyat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.