kya bataun mujhe kya lagta hai
kyā batā.ūñ mujhe kyā lagtā hai
har-nafas tīr-e-jafā lagtā hai
huuñ vo ḳhuddār kisī se kyā kahūñ
saañs lenā bhī burā lagtā hai
phalte dekhī hai kahīñ shāḳh-e-sitam
mere kahne kā burā lagtā hai
hādse bhī haiñ baḌe kaam kī chiiz
dost dushman kā patā lagtā hai
merā sar to kahīñ jhuktā hī nahīñ
terā naqsh-e-kaf-e-pā lagtā hai
kyā kahūñ hālat-e-dil ai 'jarrār'
dard kuchh aur sivā lagtā hai
kya bataun mujhe kya lagta hai
har-nafas tir-e-jafa lagta hai
hun wo KHuddar kisi se kya kahun
sans lena bhi bura lagta hai
phalte dekhi hai kahin shaKH-e-sitam
mere kahne ka bura lagta hai
hadse bhi hain baDe kaam ki chiz
dost dushman ka pata lagta hai
mera sar to kahin jhukta hi nahin
tera naqsh-e-kaf-e-pa lagta hai
kya kahun haalat-e-dil ai 'jarrar'
dard kuchh aur siwa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.