kya bhala shaiKH-ji the dair mein thoDe patthar
kya bhala shaiKH-ji the dair mein thoDe patthar
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
kyā bhalā shaiḳh-jī the dair meñ thoḌe patthar
ki chale ka.aba ke tum dekhne roḌe patthar
ai basā kohna imārāt-e-maqābir jin ke
logoñ ne chob-o-chagal ke liye toḌe patthar
jaao ai shaiḳh o barahman haram-o-dair ko tum
bhaa.ī bezār haiñ ham ham ne ye chhoḌe patthar
kabhī dil-hā-e-butāñ tujh se pasījeñ ai ashk
to ye ham jāneñ ki bas tū ne nichoḌe patthar
na chire nok se nashtar ke ayāzam-billāh
koī ushshāq ke the chhātī ke phoḌe patthar
kos baiTheñ fuqarā ahl-e-duval ko to abhī
un ke hāthī hoñ pahāḌ aur ye ghoḌe patthar
gar sag-e-gursina le shuum ke matbaḳh kī baas
to bhalā haDDī kī jā kyā vo bhañboḌe patthar
na hinsā maiñ jo hañsāne se shab un kī to kahā
tujhe qurbān karūñ haa.e nigoḌe patthar
ek ġhazal aur sunā de hameñ 'inshā' har-chand
tū ne is meñ bhī kisī Dhab ke na chhoḌe patthar
kya bhala shaiKH-ji the dair mein thoDe patthar
ki chale kaba ke tum dekhne roDe patthar
ai basa kohna imaraat-e-maqabir jin ke
logon ne chob-o-chagal ke liye toDe patthar
jao ai shaiKH o barahman haram-o-dair ko tum
bhai bezar hain hum hum ne ye chhoDe patthar
kabhi dil-ha-e-butan tujh se pasijen ai ashk
to ye hum jaanen ki bas tu ne nichoDe patthar
na chire nok se nashtar ke ayazam-billah
koi ushshaq ke the chhati ke phoDe patthar
kos baiThen fuqara ahl-e-duwal ko to abhi
un ke hathi hon pahaD aur ye ghoDe patthar
gar sag-e-gursina le shum ke matbaKH ki bas
to bhala haDDi ki ja kya wo bhanboDe patthar
na hinsa main jo hansane se shab un ki to kaha
tujhe qurban karun hae nigoDe patthar
ek ghazal aur suna de hamein 'insha' har-chand
tu ne is mein bhi kisi Dhab ke na chhoDe patthar
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.