kya din the wo jo wan karam-e-dil-barana tha
kyā din the vo jo vaañ karam-e-dil-barāna thā
apnā bhī us taraf guzar āshiqāna thā
mil baiThne ke vāste aapas meñ har ghaḌī
thā kuchh fareb vaañ to idhar kuchh bahāna thā
chāhat hamārī tāḌte haiñ vaañ ke tāḌ-bāz
tis par hanūz ḳhuub tarah dil lagā na thā
kyā kyā diloñ meñ hotī thī bin dekhe be-kalī
hai kal kī baat haif ki aisā zamāna thā
ab is qadar huā vo farāmosh ai 'nazīr'
kyā jaane vo muāmla kuchh thā bhī yā na thā
kya din the wo jo wan karam-e-dil-barana tha
apna bhi us taraf guzar aashiqana tha
mil baiThne ke waste aapas mein har ghaDi
tha kuchh fareb wan to idhar kuchh bahana tha
chahat hamari taDte hain wan ke taD-baz
tis par hanuz KHub tarah dil laga na tha
kya kya dilon mein hoti thi bin dekhe be-kali
hai kal ki baat haif ki aisa zamana tha
ab is qadar hua wo faramosh ai 'nazir'
kya jaane wo muamla kuchh tha bhi ya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.