kya faeda nahaq sitam itna na karo tum
kya faeda nahaq sitam itna na karo tum
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
kyā fā.eda nāhaq sitam itnā na karo tum
haq se to Daro gar mirī parvā na karo tum
ye zulm jo tum karte ho bejā nahīñ goyā
kahte ho mujhe shikva-e-be-jā na karo tum
kahte haiñ ki vo bhī yahī kahte haiñ karūñ kyā
kahte ho ki dil-jūi-e-ādā na karo tum
ham tum ko burā kahte haiñ yā ḳhū ko tumhārī
so ḳhū ke bhī achchhe sahī jhagḌā na karo tum
tum pesh-rav-e-ahl-e-ḳharābāt ho 'nāzim'
andesha-e-dīn-o-ġham-e-duniyā na karo tum
kya faeda nahaq sitam itna na karo tum
haq se to Daro gar meri parwa na karo tum
ye zulm jo tum karte ho beja nahin goya
kahte ho mujhe shikwa-e-be-ja na karo tum
kahte hain ki wo bhi yahi kahte hain karun kya
kahte ho ki dil-jui-e-ada na karo tum
hum tum ko bura kahte hain ya KHu ko tumhaari
so KHu ke bhi achchhe sahi jhagDa na karo tum
tum pesh-raw-e-ahl-e-KHarabaat ho 'nazim'
andesha-e-din-o-gham-e-duniya na karo tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.