kya gham-e-hijr uTha kar koi mar jaega
kyā ġham-e-hijr uThā kar koī mar jā.egā
jis tarah raat kaTī din bhī guzar jā.egā
un ke dīdār kī hasrat hai dam-e-āḳhir bhī
dam nikal kar mirī āñkhoñ meñ Thahar jā.egā
tum hamāre dil-e-muztar ko sambhālo na abhī
ḳhuub jī bhar ke taḌap le to Thahar jā.egā
sūrat-e-naqsh-e-qadam baiTh chukā kūche meñ
dar-e-jānāñ se kahāñ uTh ke 'jigar' jā.egā
kya gham-e-hijr uTha kar koi mar jaega
jis tarah raat kaTi din bhi guzar jaega
un ke didar ki hasrat hai dam-e-aKHir bhi
dam nikal kar meri aankhon mein Thahar jaega
tum hamare dil-e-muztar ko sambhaalo na abhi
KHub ji bhar ke taDap le to Thahar jaega
surat-e-naqsh-e-qadam baiTh chuka kuche mein
dar-e-jaanan se kahan uTh ke 'jigar' jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.