kya gham hai agar shikwa-e-gham aam hai pyare
kyā ġham hai agar shikva-e-ġham aam hai pyāre
tū dil ko dukhā terā yahī kaam hai pyāre
tere hī tabassum kā sahar naam hai pyāre
tū khol de gesū to abhī shaam hai pyāre
is vaqt tirā jān-e-jahāñ naam hai pyāre
jo kaam tū kar de vo baḌā kaam hai pyāre
jab pyaar kiyā chain se kyā kaam hai pyāre
is meñ to taḌapne hī meñ ārām hai pyāre
chhūTī hai na chūTegī kabhī pyaar kī aadat
maiñ ḳhuub samajhtā huuñ jo anjām hai pyāre
ai kaash mirī baat samajh meñ tirī aa.e
merī jo ġhazal hai mirā paiġhām hai pyāre
maiñ huuñ jahāñ sau fikr meñ sau rañj meñ sau dard
tū hai jahāñ ārām hī ārām hai pyāre
go maiñ ne kabhī apnī zabāñ par nahīñ laayā
sab jaan rahe haiñ tirā kyā naam hai pyāre
ham dil ko lagā kar bhī khaTakte haiñ diloñ meñ
tū dil ko dikhā kar bhī dil-ārām hai pyāre
kahtā huuñ ġhazal aur rahā kartā huuñ sarshār
merā yahī shīsha hai yahī jaam hai pyāre
kya gham hai agar shikwa-e-gham aam hai pyare
tu dil ko dukha tera yahi kaam hai pyare
tere hi tabassum ka sahar nam hai pyare
tu khol de gesu to abhi sham hai pyare
is waqt tera jaan-e-jahan nam hai pyare
jo kaam tu kar de wo baDa kaam hai pyare
jab pyar kiya chain se kya kaam hai pyare
is mein to taDapne hi mein aaram hai pyare
chhuTi hai na chuTegi kabhi pyar ki aadat
main KHub samajhta hun jo anjam hai pyare
ai kash meri baat samajh mein teri aae
meri jo ghazal hai mera paigham hai pyare
main hun jahan sau fikr mein sau ranj mein sau dard
tu hai jahan aaram hi aaram hai pyare
go main ne kabhi apni zaban par nahin laya
sab jaan rahe hain tera kya nam hai pyare
hum dil ko laga kar bhi khaTakte hain dilon mein
tu dil ko dikha kar bhi dil-aram hai pyare
kahta hun ghazal aur raha karta hun sarshaar
mera yahi shisha hai yahi jam hai pyare
- Book : jab fasl-e-gul bahaar aa.ii thii (Pg. 257)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.