kya gham jo gham-e-dil ka mudawa nahin hota
kyā ġham jo ġham-e-dil kā mudāvā nahīñ hotā
ye rog hī aisā hai ki aisā nahīñ hotā
ho jaa.e to ho jaa.e alag baat vagarna
duniyā meñ koī shaḳhs bhī apnā nahīñ hotā
ab tujh se gila kyā kareñ ai gardish-e-daurāñ
har shaam kī qismat meñ saverā nahīñ hotā
kuchh ham bhī alag sochte ai talḳhī-e-hālāt
sochoñ pe agar jabr kā pahrā nahīñ hotā
har dāman-e-pur-chāk nahīñ dāman-e-yūsuf
har dast-e-rasā dast-e-zuleḳhā nahīñ hotā
jo shaḳhs vafādār ho māñ-bāp kā 'rehān'
vo shaḳhs kabhī dahr meñ rusvā nahīñ hotā
kya gham jo gham-e-dil ka mudawa nahin hota
ye rog hi aisa hai ki aisa nahin hota
ho jae to ho jae alag baat wagarna
duniya mein koi shaKHs bhi apna nahin hota
ab tujh se gila kya karen ai gardish-e-dauran
har sham ki qismat mein sawera nahin hota
kuchh hum bhi alag sochte ai talKHi-e-haalat
sochon pe agar jabr ka pahra nahin hota
har daman-e-pur-chaak nahin daman-e-yusuf
har dast-e-rasa dast-e-zuleKHa nahin hota
jo shaKHs wafadar ho man-bap ka 'rehan'
wo shaKHs kabhi dahr mein ruswa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.