kya ghazab hai ki chaar aankhon mein
kyā ġhazab hai ki chaar āñkhoñ meñ
dil churātā hai yaar āñkhoñ meñ
chashm-e-kaifī ke surḳh Doroñ se
chhā rahī hai bahār āñkhoñ meñ
gir paḌā tifl-e-ashk ye machlā
maiñ ne rokā hazār āñkhoñ meñ
nahīñ uThtī palak nazākat se
surma hotā hai baar āñkhoñ meñ
itnī chhānī hai ḳhaak tere liye
chhā rahā hai ġhubār āñkhoñ meñ
jab se apnā laqab huā hai 'surūr'
roz o shab hai ḳhumār āñkhoñ meñ
kya ghazab hai ki chaar aankhon mein
dil churaata hai yar aankhon mein
chashm-e-kaifi ke surKH Doron se
chha rahi hai bahaar aankhon mein
gir paDa tifl-e-ashk ye machla
main ne roka hazar aankhon mein
nahin uThti palak nazakat se
surma hota hai bar aankhon mein
itni chhani hai KHak tere liye
chha raha hai ghubar aankhon mein
jab se apna laqab hua hai 'surur'
roz o shab hai KHumar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.