Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ghazab hai ki mera mujhse wo dilbar toDa

Zain-ul-Abideen Khan Arif

kya ghazab hai ki mera mujhse wo dilbar toDa

Zain-ul-Abideen Khan Arif

MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif

    kyā ġhazab hai ki mirā mujh se vo dilbar toḌā

    mujh pe kyā ne sitam charḳh-e-sitamgar toḌā

    saḳht-jānoñ ko jalāne ke sivā kyā tadbīr

    muft kyuuñ qātil-e-saffāk ne ḳhanjar toḌā

    aa gayā vaañ jo kisī ke lab-e-shīrīñ ḳhayāl

    jām-e-kausar ko uThā kar lab-e-kausar toḌā

    uTh gayā chal ke tire dar se maiñ go ka.aba ko

    par ye zunnār vahāñ bhī but-e-kāfar toḌā

    kyā dar-e-yār-e-talab pahuñche haiñ insāñ 'ārif'

    us ke darbāñ ko udhar de ke bahut zar toḌā

    kya ghazab hai ki mera mujh se wo dilbar toDa

    mujh pe kya tu ne sitam charKH-e-sitamgar toDa

    saKHt-jaanon ko jalane ke siwa kya tadbir

    muft kyun qatil-e-saffak ne KHanjar toDa

    aa gaya wan jo kisi ke lab-e-shirin ka KHayal

    jam-e-kausar ko uTha kar lab-e-kausar toDa

    uTh gaya chal ke tere dar se main go kaba ko

    par ye zunnar wahan bhi but-e-kafar toDa

    kya dar-e-yar-e-talab pahunche hain insan 'arif'

    us ke darban ko udhar de ke bahut zar toDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now