kya hai is dil ka haal mat puchho
kyā hai is dil kā haal mat pūchho
ham se nāzuk savāl mat pūchho
jaan jā.egā kul zamāna sab
zindagī hai muhāl mat pūchho
shā.irī aur adab kī duniyā meñ
kaun hai bā-kamāl mat pūchho
ham ko denā subūt hai fan kā
ḳhuuñ meñ hai kyā ubaal mat pūchho
shohrateñ kis tarah kī mere liye
le ke aayā ye saal mat pūchho
vaqt ik din badal ke rakh degā
us kī har ek chaal mat pūchho
paḌh rahā huuñ ġhazal samajh lenā
hai ye kis kā ḳhayāl mat pūchho
hubb-e-yārāñ mirā ḳhazāna hai
us meñ kitnā manāl mat pūchho
kaise haiñ bāl-o-par ye 'panchhī' ke
kaise haiñ ḳhadd-o-ḳhāl mat pūchho
kya hai is dil ka haal mat puchho
hum se nazuk sawal mat puchho
jaan jaega kul zamana sab
zindagi hai muhaal mat puchho
shairi aur adab ki duniya mein
kaun hai ba-kamal mat puchho
hum ko dena subut hai fan ka
KHun mein hai kya ubaal mat puchho
shohraten kis tarah ki mere liye
le ke aaya ye sal mat puchho
waqt ek din badal ke rakh dega
us ki har ek chaal mat puchho
paDh raha hun ghazal samajh lena
hai ye kis ka KHayal mat puchho
hubb-e-yaran mera KHazana hai
us mein kitna manal mat puchho
kaise hain baal-o-par ye 'panchhi' ke
kaise hain KHadd-o-KHal mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.