kya hai shaqq-ul-qamar nazir to hai
kyā hai shaqq-ul-qamar nazīr to hai
chāñd ke darmiyāñ lakīr to hai
soch saktī huuñ sach na kah pā.ūñ
mujh meñ jur.at na ho zamīr to hai
vo kisī kī nazar nahīñ na sahī
dil meñ paivast ik tiir to hai
hai vahī kā.enāt kī buniyād
go vo ik zarra-e-haqīr to hai
raushnī māñgtā hai sūraj se
chāñd ik kāsa-e-faqīr to hai
'kaif' kā jo bhī ho adab meñ maqām
lahja parvīn be-nazīr to hai
kya hai shaqq-ul-qamar nazir to hai
chand ke darmiyan lakir to hai
soch sakti hun sach na kah paun
mujh mein jurat na ho zamir to hai
wo kisi ki nazar nahin na sahi
dil mein paiwast ek tir to hai
hai wahi kaenat ki buniyaad
go wo ek zarra-e-haqir to hai
raushni mangta hai suraj se
chand ek kasa-e-faqir to hai
'kaif' ka jo bhi ho adab mein maqam
lahja parwin be-nazir to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.