Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya hai unchai mohabbat ki batate jao

Aatish Indori

kya hai unchai mohabbat ki batate jao

Aatish Indori

MORE BYAatish Indori

    kyā hai ūñchā.ī mohabbat batāte jaao

    panchhiyoñ uḌ ke yuuñ ḳhvāb dikhāte jaao

    peḌ patthar javāb aaj bhī dete phal se

    choT khaao bhale par rishte nibhāte jaao

    yuuñ bhī paiġhām mohabbat pahuñch jā.egā

    saath insāñ ke parindoñ ko basāte jaao

    shahr meñ kaam bahut saare samay lekin kam

    mat karo baat magar haath hilāte jaao

    ik do mat-bhed to har ghar meñ huā karte haiñ

    in ko netā havā mat do bujhāte jaao

    gaañv meñ naav thī kāġhaz safar āsāñ thā

    ik musāfir huuñ yahāñ raah dikhāte jaao

    gāliyāñ aise do mujh ko hamesha 'ātish'

    ġhalatiyāñ merī isī tarah batāte jaao

    kya hai unchai mohabbat ki batate jao

    panchhiyon uD ke yun hi KHwab dikhate jao

    peD patthar ka jawab aaj bhi dete phal se

    choT khao bhale par rishte nibhate jao

    yun bhi paigham mohabbat ka pahunch jaega

    sath insan ke parindon ko basate jao

    shahr mein kaam bahut sare samay lekin kam

    mat karo baat magar hath hilate jao

    ek do mat-bhed to har ghar mein hua karte hain

    in ko neta ji hawa mat do bujhate jao

    ganw mein naw thi kaghaz ki safar aasan tha

    ek musafir hun yahan rah dikhate jao

    galiyan aise hi do mujh ko hamesha 'atish'

    ghalatiyan meri isi tarah batate jao

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now