kya hasin raat hai is raat se Darte kyun ho
kyā hasīñ raat hai is raat se Darte kyuuñ ho
aa ga.e ho to mulāqāt se Darte kyuuñ ho
naam aatā hai mirā jab bhī kisī mahfil meñ
ye batāo ki savālāt se Darte kyuuñ ho
dil lubhāne ke bhī andāz huā karte haiñ
mast āñkhoñ ke ishārāt se Darte kyuuñ ho
ka.ī barsāt ke mausam haiñ mirī āñkhoñ meñ
aatī jaatī huī barsāt se Darte kyuuñ ho
log achchhoñ ko bhī duniyā meñ burā kahte haiñ
kyā kahegā koī is baat se Darte kyuuñ ho
zindagī miltī hai insān ko jiine ke liye
muskurāte raho sadmāt se Darte kyuuñ ho
zikr-e-māzī ke tasavvur se pareshāñ ho kar
zinda rahnā hai to hālāt se Darte kyuuñ ho
kya hasin raat hai is raat se Darte kyun ho
aa gae ho to mulaqat se Darte kyun ho
nam aata hai mera jab bhi kisi mahfil mein
ye batao ki sawalat se Darte kyun ho
dil lubhane ke bhi andaz hua karte hain
mast aankhon ke ishaaraat se Darte kyun ho
kai barsat ke mausam hain meri aankhon mein
aati jati hui barsat se Darte kyun ho
log achchhon ko bhi duniya mein bura kahte hain
kya kahega koi is baat se Darte kyun ho
zindagi milti hai insan ko jine ke liye
muskuraate raho sadmat se Darte kyun ho
zikr-e-mazi ke tasawwur se pareshan ho kar
zinda rahna hai to haalat se Darte kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.