kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
kyā hī rah rah ke tabī.at mirī ghabrātī hai
maut aatī hai shab-e-hijr na niiñd aatī hai
vo bhī chup baiThe haiñ aġhyār bhī chup maiñ bhī ḳhamosh
aisī sohbat se tabī.at mirī ghabrātī hai
kyuuñ na ho apnī lagāvaT kī nazar par nāzāñ
jānte ho ki diloñ ko ye lagā laatī hai
bazm-e-ishrat kahīñ hotī hai to ro detā huuñ
koī guzrī huī sohbat mujhe yaad aatī hai
kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hijr na nind aati hai
wo bhi chup baiThe hain aghyar bhi chup main bhi KHamosh
aisi sohbat se tabiat meri ghabraati hai
kyun na ho apni lagawaT ki nazar par nazan
jaante ho ki dilon ko ye laga lati hai
bazm-e-ishrat kahin hoti hai to ro deta hun
koi guzri hui sohbat mujhe yaad aati hai
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 148)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.