kyā hijr meñ jī niDhāl karnā
kuchh zikr-e-shab-e-visāl karnā
jo kuchh bhī guzar rahī hai sah lo
kuchh us se na arz-e-hāl karnā
ġham us ke atā kiye hue haiñ
ġham kā na kabhī malāl karnā
maiñ tum se bichhaḌ ke jī sakūñgā
aisā na kabhī ḳhayāl karnā
jis tarah jiye haiñ ham jahāñ meñ
pesh aisī koī misāl karnā
maiñ jis kā javāb na de pā.ūñ
aisā bhī koī savāl karnā
tum saath rahe to ham ne 'vālī'
sīkhā hī nahīñ kamāl karnā
kya hijr mein ji niDhaal karna
kuchh zikr-e-shab-e-visal karna
jo kuchh bhi guzar rahi hai sah lo
kuchh us se na arz-e-haal karna
gham us ke ata kiye hue hain
gham ka na kabhi malal karna
main tum se bichhaD ke ji sakunga
aisa na kabhi KHayal karna
jis tarah jiye hain hum jahan mein
pesh aisi koi misal karna
main jis ka jawab na de paun
aisa bhi koi sawal karna
tum sath rahe to hum ne 'wali'
sikha hi nahin kamal karna
- Book : Mom (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.