kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere
kyā ho gayā hai gesū-e-ḳhamdār ko tire
āzād kar rahe haiñ giraftār ko tire
ab tū hai muddatoñ se shab-o-roz rū-ba-rū
kitne hī din guzar ga.e dīdār ko tire
kal raat chobdār samet aa ke le gayā
ik ġhol tarah-dār-e-sar-e-dār ko tire
ab itnī kund ho ga.ī dhaar ai yaqīñ tirī
ab roktā nahīñ hai koī vaar ko tire
ab rishta-e-marīz-o-masīhā huā hai ḳhvār
sab pesha-var samajhte haiñ bīmār ko tire
bāhar nikal ke aa dar-o-dīvār-e-zāt se
le jā.egī havā dar-o-dīvār ko tire
ai rañg us meñ suud hai terā ziyāñ nahīñ
ḳhushbū uḌā ke le ga.ī zangār ko tire
kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere
aazad kar rahe hain giraftar ko tere
ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru
kitne hi din guzar gae didar ko tere
kal raat chobdar samet aa ke le gaya
ek ghol tarah-dar-e-sar-e-dar ko tere
ab itni kund ho gai dhaar ai yaqin teri
ab rokta nahin hai koi war ko tere
ab rishta-e-mariz-o-masiha hua hai KHwar
sab pesha-war samajhte hain bimar ko tere
bahar nikal ke aa dar-o-diwar-e-zat se
le jaegi hawa dar-o-diwar ko tere
ai rang us mein sud hai tera ziyan nahin
KHushbu uDa ke le gai zangar ko tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.