kya ho ki meri zindagi se tu nikal sake
kyā ho ki merī zindagī se tū nikal sake
jis se ki mere dard kā pahlū nikal sake
darkār is liye hai mujhe dūsrā badan
us kī dil-o-dimāġh se ḳhushbū nikal sake
sab apnī apnī lāshoñ ko mandir meñ le chalo
shāyad ḳhudā kī aañkh se aañsū nikal sake
gahrī huiiñ jaḌeñ to ye shāḳheñ harī huiiñ
paaoñ jame to peḌ ke baazū nikal sake
maiñ us ke baa'd sirf inhīñ koshishoñ meñ huuñ
gardan se us ke naam kā tattō nikal sake
apnī hatheliyoñ meñ ye āñkheñ nichoḌ luuñ
mumkin hai tere hijr se chullū nikal sake
maiñ chāhtā huuñ raat meñ sūraj-mukhī khile
maiñ chāhtā huuñ din meñ bhī jugnū nikal sake
kya ho ki meri zindagi se tu nikal sake
jis se ki mere dard ka pahlu nikal sake
darkar is liye hai mujhe dusra badan
us ki dil-o-dimagh se KHushbu nikal sake
sab apni apni lashon ko mandir mein le chalo
shayad KHuda ki aankh se aansu nikal sake
gahri huin jaDen to ye shaKHen hari huin
paon jame to peD ke bazu nikal sake
main us ke ba'd sirf inhin koshishon mein hun
gardan se us ke nam ka tattoo nikal sake
apni hatheliyon mein ye aankhen nichoD lun
mumkin hai tere hijr se chullu nikal sake
main chahta hun raat mein suraj-mukhi khile
main chahta hun din mein bhi jugnu nikal sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.