Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya hoga andaza thoDi hota hai

Babar Ali Asad

kya hoga andaza thoDi hota hai

Babar Ali Asad

MORE BYBabar Ali Asad

    kyā hogā andāza thoḌī hotā hai

    ham ne vaqt banāyā thoḌī hotā hai

    mere saath khaḌī shahzādī lagtī thī

    har koī shahzāda thoḌī hotā hai

    ham ne māl-e-muft samajh barbād kiyā

    jiinā khel tamāshā thoḌī hotā hai

    vo jis baat pe jiinā mushkil ho jaa.e

    ab is baat pe marnā thoḌī hotā hai

    mālik apnī marzī bhī mālik hai

    mālik ne batlānā thoḌī hotā hai

    logoñ ko bas bāteñ karnā aatī haiñ

    logoñ ko kuchh karnā thoḌī hotā hai

    ham ne bhī thak haar ke āḳhir maan liyā

    vaqt ne haath meñ aanā thoḌī hotā hai

    darvāze par āñkheñ rakhne vāloñ ke

    darvāzoñ par taalā thoḌī hotā hai

    kya hoga andaza thoDi hota hai

    hum ne waqt banaya thoDi hota hai

    mere sath khaDi shahzadi lagti thi

    har koi shahzada thoDi hota hai

    hum ne mal-e-muft samajh barbaad kiya

    jina khel tamasha thoDi hota hai

    wo jis baat pe jina mushkil ho jae

    ab is baat pe marna thoDi hota hai

    malik apni marzi ka bhi malik hai

    malik ne batlana thoDi hota hai

    logon ko bas baaten karna aati hain

    logon ko kuchh karna thoDi hota hai

    hum ne bhi thak haar ke aaKHir man liya

    waqt ne hath mein aana thoDi hota hai

    darwaze par aankhen rakhne walon ke

    darwazon par tala thoDi hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now