kya hua dil-e-hazin gar KHushi guzar gai
kyā huā dil-e-hazīñ gar ḳhushī guzar ga.ī
ġham agar chalā gayā jins-e-mo'atabar ga.ī
ik tumhāre ishq se kis qadar zarar huā
dil gayā jigar gayā dūrbīñ nazar ga.ī
hasrat-e-mudām hī zindagī kī jaan hai
aadmī hī mar gayā aarzū jo mar ga.ī
dūsroñ pe munhasir nāḳhudā ke muntazir
dekh mujh nahīf kī naav paar utar ga.ī
dushmanī ko bhuul kar bekasī pe ro diyā
jab raqīb kī nazar merī qabr par ga.ī
fātiha ko haath uThā kar duā-e-maġhfirat
na.ash-e-'nādir'-e-hazīñ qabr meñ utar ga.ī
kya hua dil-e-hazin gar KHushi guzar gai
gham agar chala gaya jins-e-mo'atabar gai
ek tumhaare ishq se kis qadar zarar hua
dil gaya jigar gaya durbin nazar gai
hasrat-e-mudam hi zindagi ki jaan hai
aadmi hi mar gaya aarzu jo mar gai
dusron pe munhasir naKHuda ke muntazir
dekh mujh nahif ki naw par utar gai
dushmani ko bhul kar bekasi pe ro diya
jab raqib ki nazar meri qabr par gai
fatiha ko hath uTha kar dua-e-maghfirat
nash-e-'nadir'-e-hazin qabr mein utar gai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 139)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.