kya hue aashiq us shakar-lab ke
kyā hue āshiq us shakar-lab ke
taane sahne paḌe hameñ sab ke
bhūlnā mat butoñ kī yaarī par
haiñ ye bad-kesh apne matlab ke
qais o farhād chal base afsos
the vo kam-baḳht apne mashrab ke
shaiḳhiyāñ shaiḳh jī kī deñge dikhā
mil ga.e vo agar kahīñ ab ke
yaad rakhnā kabhī na bachiyegā
mil ga.e aap vaqt gar shab ke
us meñ ḳhush hoveñ aap yā nā-ḳhush
yaar to haiñ sunā usī Dhab ke
yaar bin 'aish' mai-kashī tauba
hai ye apne ḳhilāf maz.hab ke
kya hue aashiq us shakar-lab ke
tane sahne paDe hamein sab ke
bhulna mat buton ki yari par
hain ye bad-kesh apne matlab ke
qais o farhad chal base afsos
the wo kam-baKHt apne mashrab ke
shaiKHiyan shaiKH ji ki denge dikha
mil gae wo agar kahin ab ke
yaad rakhna kabhi na bachiyega
mil gae aap waqt gar shab ke
us mein KHush howen aap ya na-KHush
yar to hain suna usi Dhab ke
yar bin 'aish' mai-kashi tauba
hai ye apne KHilaf mazhab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.