kya hue aashufta-karan kya hue
kyā hue āshufta-kārāñ kyā hue
yād-e-yārāñ yār-e-yārāñ kyā hue
ab to apnoñ meñ se koī bhī nahīñ
vo pareshāñ rozgārāñ kyā hue
so rahā hai shaam hī se shahr-e-dil
shahr ke shab-zinda-dārāñ kyā hue
us kī chashm-e-nīm-vā se pūchhiyo
vo tire mizhgāñ-shumārāñ kyā hue
ai bahār-e-intizār-e-fasl-e-gul
vo garebāñ-tār-tārāñ kyā hue
kyā hue sūrat-nigārāñ ḳhvāb ke
ḳhvāb ke sūrat-nigārāñ kyā hue
yaad us kī ho ga.ī hai be-amāñ
yaad ke be-yādgārāñ kyā hue
kya hue aashufta-karan kya hue
yaad-e-yaran yar-e-yaran kya hue
ab to apnon mein se koi bhi nahin
wo pareshan rozgaran kya hue
so raha hai sham hi se shahr-e-dil
shahr ke shab-zinda-daran kya hue
us ki chashm-e-nim-wa se puchhiyo
wo tere mizhgan-shumaran kya hue
ai bahaar-e-intizar-e-fasl-e-gul
wo gareban-tar-taran kya hue
kya hue surat-nigaran KHwab ke
KHwab ke surat-nigaran kya hue
yaad us ki ho gai hai be-aman
yaad ke be-yaadgaran kya hue
- Shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.